Warsi Hussaini Foundation:- Celebrated Jashn-e Panjatan in the presence of Zer e sharparasti sarkaar taskeen shah waris

Jashn E Panjatan (mumbai unit) Sarkar Chudi Shah

Warsi Hussaini Foundation,Chudi shah Sarkar,chudi shah baba,taskeen shah
Chudi Shah Sarkar

13vi Rajab ke khas mauke par hamare Maula Ali sher e Khuda ki wiladat ke khushi me hum panjetane paak(Rasool s.a.w) ke gharane ke yaad me ye jashn e panjetan celebrate kar rahen hai jinhone apni ummat ke liye is dunia me tashreef laya aur hame jindagi jeene ka sahi maqsad aur rasta dikhaya. Aaj 14 january 2025 ko yaha sabhi warsi silsile ke warsi bhai/bahan ek saath jama hue hain aur ham isbaar jashn e panjetan ko bahot hi khas aur mohabbat ke sath mana rahe hain . Is khash mauke me jitne bhi hamare roohani silsile ke log hain sabhi apne apne ilm aur samajh ke hisabse faiz hasil karenge. Mere Maula ki roohani barish humein pyaasa nahi rehne degi!" aur jashn e panjetan is tarha manayenge ki dunia hame dekhtehi kahegi Maula wale aise hain to Inke maula kaise honge.

13vi Rajab ke khas mauke par hamrae Maula Ali sher e Khuda ki wiladat ke khushi me hamare sarkar taskeen shah ki maujoodgi me Warsi Hussaini Foundation ke organizer Mohammed Ameer Warsi aur unke team ne panjatane paak(Rasool s.a.w) ke gharane ke yaad me ye jashn e panjatan celebrate karne ke liye function organize kiya jo ki 14th January 2025 ko manaya gaya jisme program kuchh is tarha shuru hua.

Warsi Hussaini Foundation,Chudi shah Sarkar,chudi shah baba,taskeen shah


1. Sabse pahle Mehandi aur pairahan celebrate kiya gaya ahlenajar sarkar taskeen shah jinhe jada tar log chudi shah sarkar ke naam se jante hain aur unke saath the hamare sarkar shahnawaz shah jinhe khash request karke UP ke vasa basti jilha se bulaya gaya jinki shirkat hamare liye kisi bahot bade surprise se kam nahi thi.

Shahnawaz Shah Waris

2. Juloos E panjatan : Dusre no. pe hamare sarkar ne panjatan paak ke naam ko uncha aur buland awaaj me ailaan karne ke liye shanti poorwak juloos nikalne ka ailaan kiya jiske rules hamare sarkar pahlehi ek chhoti si meeting me bata chuke the ki juloos kuchh is tarha ho ki kisi ko bhi takleef na ho agar ham raste me chale to koi bhi tarha ki galati nahi honi chahiye sabhi log juloos me apne head ki baat mante hue bahot hi shanti aur panjatan e paak ki insaaniyat aur unke khubsurat nek irade ke hisabse juloos ko bina kisi chu-chara ke poora kiya jayega.Lekin plan ke mutabik kisi karan BMC permission nhi mili kiuki usi din kuchh dange aur fasad ki gunjaish ho sakti thi isi safety ko dekhte hue hamare Sarkar Taskeen shah ne saara program Royal palace hall trombay me hi karne ka decide kiya.


Warsi Hussaini Foundation,Chudi shah Sarkar,chudi shah baba,taskeen shah
Parcham Mubarak

3. Taqrer(Shan E Panjatan) : Taqrer kabhi intejam kiya gaya tha jisme bahot se shayar ne shirkat ki thi sabhi shayar ko dawat e panjatan bhej kar bulaya gaya tha aur sabhi log apni mohabbat se panjatane paak ke khushi me apni apni shirkat karke hamare is jashn me char chand lagate hue is function ko khaas banaya aur poori mehfil ki chamak ko char guna badhha diya.

Warsi Hussaini Foundation,Chudi shah Sarkar,chudi shah baba,taskeen shah

4. Parchan/Chadar/shairah: Jaise hi sher-o-shayri khatm hui uske baad Parcham e panjatan, chadar e sayyada fatema hall ke andar hi manaya gaya aur bahot hi shanti se mureedo ne is khushi ko celebrate kiya jisme khushi se yung bachche aur bujurg jhoomte najar aaye.Sabhi apni roohani dunia me kho gaye the aur khotebhi kiu na sabko sayyeda fatema hamari dadi jaan hamari maa ki chadar e daman ko pakadne ka mauka nahi mil pata.Kiuki is chadar aur parcham tak pahuchne ke liye insaan ke dil me panjatan paak ki mohabbat aur unke bataye islam ke raah pe chalkar pahuchna padta hai.Islam ka asal hindi matlab hota hai shanti joki hamare pyare mustafa, hamare Rasool s.a.w ,pyare huzur e paak ne aajse 1400 saal pahle is dunia me failane ke liye bahot mehnat aur mohabbat se logo ko dawat e islam ki tameer ki thi.

Warsi Hussaini Foundation,Chudi shah Sarkar,chudi shah baba,taskeen shah
Hand made parcham
Warsi Hussaini Foundation,Chudi shah Sarkar,chudi shah baba,taskeen shah
Parcham Mubarak

Nazreen Tawazzo den yaha Islam ka hindi translate hota hai shanti/sukoon/insaniyat joki hamara asli dharm hai.Ab aap log yahan  ye na samajhna ki Islam ko manne wale matlab musalman.Musalman aur Momin isme 2 tarha ki category hai Musalman jo hain namaz,quran aur hadees ko jada mante hain.Lekin jo Momin hain vo bolta quran,namaz aur hadees ko mante hain.Kahne matlab ye hai ki momin apne Murshid kohi sab maan lete hai Murshid matlab guru aur guru hi gyan ka poora bhandar hota hai.Leki Murshid hi vo guru hain is daur me joki Maula e kaynat Maula Ali aur unke gharane ke bareme hame poori raaj-o-haqeekat bayan karte hain.

Warsi Hussaini Foundation,Chudi shah Sarkar,chudi shah baba,taskeen shah
Waris Piya Founder of Warsi silsila


Aapne vo kalam to sunahi hoga fatima! teri chaadar ka kya poochhna,teri chhadar ka ehsaan islam par,teri chaadar ke tukde bahattar hue,un bahattar ka ehsaan islam baar.Isi chadar ke hawale se mumbai cheeta camp me sarkar Taskeen Shah waris aur unke foundation ne Jashn-e Panjatan ki chaadar mubarak ko badihi mohabbat se celebrate kiya aur parcham ko lahraya yeh wahi parcham hai jo maula husain,maula hasan,maula abbas aur sare shahabi karbala ke maidaan me lekar utre the joki isi mohabbat wali islam ko bachane ke liye unhone dushman se bait nahi ki par sar katana behtar samjhha warna aaj hamare paas na jaane kaunsa islam hota.

Warsi Hussaini Foundation,Chudi shah Sarkar,chudi shah baba,taskeen shah
Labbai Ya Ali

5.Mehfile Shama: Sufi ho ya fir shant hon hamare hindustan me yeh donohi roohani shakshiyat exist karti hain joki dusre desho me nahi hai yahi ek alag khsasiyat haiki hamara hindustan sufi shanton ka gad hai.Jab sufism ki baithak hoti hai to usme ek sabse bada hissa mehfile sama ka hota hai.Mehfile sama ka aagaaj hamare waris piya ke daur se shuru hua kiuki mehfile shama vo cheej hai jo ek roohaniyat to samajhne wala insaan hi bayan kar sakta hai.Mehfile sama me qawwal ke hawale se qawwali padhi ya gai jaati hai jiska arth hai qawle wali like ham englisg me kisi ko bolte hain (its father call) matlab qawwal kahta hai ye mai nahi bol raha mera wali bol raha hai joki is mehfil me mere samne baitha hai.Maito ek jariya hun shareer aur aawaj meri hai lekin jobhi bol raha hun vo qawle wali hai.


Warsi Hussaini Foundation:- Celebrated Jashn-e Panjatan in the presence of Zer e sharparasti sarkaar taskeen shah warisWarsi Hussaini Foundation:- Celebrated Jashn-e Panjatan in the presence of Zer e sharparasti sarkaar taskeen shah waris


Warsi Hussaini Foundation:- Celebrated Jashn-e Panjatan in the presence of Zer e sharparasti sarkaar taskeen shah warisWarsi Hussaini Foundation:- Celebrated Jashn-e Panjatan in the presence of Zer e sharparasti sarkaar taskeen shah waris


Is mehfil me kareeban 5 se 6 alaga alag qawwalo ki apni team aayi hui thi aur sab ek se badhhkar ek.Aur sabse alag baat jaisehi qawwal baithte the waisehi vo hamare sarkar Chudi shah baba se faiz mang kar shuruat karte the.Aur jo qawwali mere murshid ne un qawwalo ke zariye ham tak pahuchai hai vo hamare rooh ko chhoo gai.Jitne bhi roohani mamke mureed/mureeda dekhte hi dekhte sab khho gaye aur mureed apne roohai masti me apne peer ke aage apne apne mohabbat ki duhai dene lage.Vo ek sher hai- mere murshid na dekha is jahan me koi tujhsa peer jo na karta hai bhed bhav jiski najar me har insaan hai barabar ka jahan tum baithe wahi bithaya apne mureedo ko aur kaha ye ailaan kardo chudi shah do najar nahi karte kiuki chudi shah shahansha banate hain gulaam nahi.



Hamare chudi shah sarkar ka silsila kuchh is tarha chala jahan na rahi do najar ki tum ho mard aur tum ho aurat-bas kah diya sab ek hai kisi me na karo fark bas dekhne me alag bana diya tha kaynat ne warna insaan tum bhi ho aur insaan vo hain. Jashn-e Panjatan me jitna haq mard hazrat ko tha utna hi aur usse bhi jada mere chudi shah sarkar ne aurto ko izzat bakshi thi aur kaha sab ek saath poore program me rahkar manayenge koi parda aur sharmindagi ki baat nahi hai.Aur aurte bachche boodhhe javan sab ek saath Jashn-e Panjatan ko mohabbat ke saath manaye aur mehfile sama ko bhi khoob enjoy kiya.

Warsi Hussaini Foundation,Chudi shah Sarkar,chudi shah baba,taskeen shah
Mureeda

Ye poora function subha ke 6 baje se hall me organize kiya gaya tha jisme tayyari aur sajawat ka poora intejam karte hue hall kareeban 18 ghante ke liye book kiya gaya tha.Bahot hi pyar aur samajh se saara fuction enjoy kiya gaya beech beech me nasta,khana,chai,coffee har cheej ka khayal rakha gaya tha kisi bhi cheej ki kami nahi thi.Aur hamare leader Ameer shah joki is poore shan-oshawkat Jashn-e Panjatan ke organizer the unhone ise bahot hi samajhdari se arrange kiya tha.Ameer shah ne saare kaam ko group wise baat diya tha jisse saara function bahot hi smoothly chale aur har chhoti badi cheej ka khayal rakha jaye. 

Warsi Hussaini Foundation,Chudi shah Sarkar,chudi shah baba,taskeen shah
Warsi Group with Great Leader

Is Jashn ka ek hi maqsat tha Jashn-e Panjatan manana aur hamare ahle bait ke gharane ko samajhhna unki insaniyat aur mohabbat ke parcham ko failana chhote aur bado ko ilm e panjatan se nawazna tha.Kiuki Chudi shah baba is waqt mumbai me the aur hamare Maula Ali ke amad ke khhas mauke par Jashn-e Panjatan ko manane se achchha koi aur khushi nhi ho sakti thi.

Warsi Hussaini Foundation,Chudi shah Sarkar,chudi shah baba,taskeen shahWarsi Hussaini Foundation,Chudi shah Sarkar,chudi shah baba,taskeen shah


Dada peer Sarkar Durra shah

Ham aapko hamare dada peer sarkar durra shah ke bareme bhi bata dena chahte hain.Sarkar durra shah hamare Sarkar Taskeen shah ke murshid hain aur hamare dada peer jinki mazar shareef up ke murli sharif me hai.Durra Piya ke roohaniyat ke sandesh mein, unhone insaan ke dil ko roohani tasfiyah (purification) aur ishaq (love) se bharne ka paigam diya. Unke vichar ke anusaar, roohaniyat ka maqsad sirf dharmik prathaon ko follow karna nahi, balki ek gehri aur sachchi rab (God) ke saath milne ki koshish karna hai. Unhone apne mureedo ko yeh sikhaya ki asli roohaniyat tab milti hai jab insaan apne dil ko paak kare aur khuda ki asliyat ko samjhe.

6.Cake Ceremony: Jaisa ki aajki generation ko har cheej me cake cut karna bahot hi pasand hota hai to kuchh mureed bachcho ne iska bhi intejaam kiya thaki program ko cake cut karke maula Ali ka birthday celebrate kiya jayega lekin jaisehi hamare pyare baba jaan ko pata chala unhone aisa karne se mana kiya aur cake ka order cancel kara diya aur ispe bhi unhone bachcho ko sikhaya ki maula ali paida nhi hue the unki amad thi.Iska matlab jiski ye poori dunia hai vo thodi kabhi paida hote hain voto amad lekar aate hain hame apna message dene ki jaisa tum jee rahe ho vo galat hai aur sahi rasta dikha kar jaate hain.Halaki kuchh bekhabar bachche apni taraf se khushi me cake le aate hain jise apas me baat kar ek dusre ko khila diya jata hai.


Warsi Group Cheeta Camp Trombay

Saare group ke mehnat aur lagan se ye poora program achchhese poora hua aur saare warsiyo ne jamkar faiz hasil kiya.Ham apne blog ke jariye se saare team ko shukriya ada karte hain ki vo aaye aur apna keemti time ek keemti jagah pe lagaya jisse unhe roohani takat mili aur jindagi jeene ka sahi tarika aur khushi se mil jul kar rahne ki taleem hasil hui.Hamare Pyare Sarkar Taskeen shah waris ke bait me hame aur hamare parivaar ko hamesha hamesha ke liye rahna hai aur apne aane wali peedhhi ko bhi warsiyat ka sahi aur sachcha paath sikhana hai.
WARSI FOUNDATION



warsi hussaini foundation register ho chuka hai aur ab warsi group or community ka apna ek legal foundation hai.Jiske Leader hain Mohammed Ameer Shah warsi silsile ki saari jimmedari ameer shah hi lead kar rahen hain.


Photo Gallery

Warsi Hussaini Foundation,Chudi shah Sarkar,chudi shah baba,taskeen shahWarsi Hussaini Foundation,Chudi shah Sarkar,chudi shah baba,taskeen shah

Warsi Hussaini Foundation,Chudi shah Sarkar,chudi shah baba,taskeen shahWarsi Hussaini Foundation,Chudi shah Sarkar,chudi shah baba,taskeen shahWarsi Hussaini Foundation,Chudi shah Sarkar,chudi shah baba,taskeen shah


Warsi Hussaini Foundation,Chudi shah Sarkar,chudi shah baba,taskeen shahWarsi Hussaini Foundation,Chudi shah Sarkar,chudi shah baba,taskeen shahWarsi Hussaini Foundation,Chudi shah Sarkar,chudi shah baba,taskeen shah

Warsi Hussaini Foundation,Chudi shah Sarkar,chudi shah baba,taskeen shah Warsi Hussaini Foundation,Chudi shah Sarkar,chudi shah baba,taskeen shah

Warsi Hussaini Foundation,Chudi shah Sarkar,chudi shah baba,taskeen shah


  












एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ